Flipkart

Tuesday 18 February 2014

Gulcharrey Lyrics from Bewakoofiyaan

 Aye fikron ki poonchon pe hai patakhon ki ladi
 Fitrat patang jaisi aawara hai badi
 Hum mein toh hi hai bacchu auqaat enth ki
 Pango se pange le lein dikhaayein hekadi
 Saare chichoron ko hum hi sikhaate hain
 Aishon ki koonji likhate padhaate
 Noton ki baarish hai sikke phuwaare hain
 Bheega hai saara jahaan
 Jebon mein bhare gulcharrey raeesi kare gulcharrey
 Show shaa se bhare gulcharrey tadi se ude gulcharrey
 Ude gulcharrey

 Aye sapno ke poster wah bhai din me bhi dikhte hain
 Satrangi packeton mein market mein bikte hain
 Apna bas chale toh bhaari si sale pe
 Chanda taare na chhode woh bhi khareed lein
 Betuki baaton ki tuk hum bana lenge
 Hum toh jee bhai gham bhi khilli uda lenge
 Hum na akele hain apni ye saazish mein
 Shaamil hai saara jahaan
 Jebon mein bhare gulcharrey raeesi kare gulcharrey
 Show shaa se bhare gulchare tadi se ude gulcharre
 Ude gulcharrey

 Kal ki hum abhi soche kyun jeene ko yeh pal kaafi hai
 Jo din hai humne dekha nahi uspe hum kyun bharosa karein
 Sabhi ko chhodo sab chutki mein milta hai
 Noodle ke jaise sab minton mein pakta hai
 Dum bhar ki khushiyaan hain pal bhar mein milti hain
 Maang ke dekho zaraa
 Jebon mein bhare gulcharrey raeesi kare gulcharrey
 Show sha se bhare gulchare tadi se ude gulcharre
 Ude gulcharrey

No comments:

Post a Comment