Friday, 13 December 2013

Zor Laga Ke Haisha Lyrics from Yaariyan

Hum jawaan khoon ki garmi se
Narmi se ya besharmi se
Hum jawaan khoon ki garmi se
Narmi se ya besharmi se

Jo thaan liya kar jayenge
Ab jeet ke hi ghar jayenge
Jo thaan liya kar jayenge
Ab jeet ke hi ghar jayenge

Chal zor laga ke haishaa
Chal kadam badha ke haishaa
Chal zor lagaake haishaa
Chal kadam badha ke haishaa
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam

Aazaadiyon ki kya hadein
Na hausalon ki hai sarhadein
Hum parvaton ko cheer dein
Hum aandhiyon ko na raah dein

Ho ishq ya jung zamaane se
Dono mein jeet zaroori hai
Duniya ke apne laalach hain
Dil ki apni majboori hai
Yeh baat bata ke jaayenge
Hum khwaab saja ke jayenge
Yeh baat bata ke jayenge
Hum khwaab saja ke jayenge...

Chal zor laga ke haishaa
Chal kadam badha ke haisha
Chal zor lagaake haisha
Chal kadam badha ke haishaa
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam

Kya dooriyan, kya faasle
Be-khauf se yunhi chalte chale
Yeh jaanti hai manzilein
Toofan hai kayi pairon tale

Hum khushiyon ke hain saudagar
Sabke aansu pee jaate hain
Jab jug samjhe be-jaan humein
Hum hanste hain, jee jaate hain
Yeh aadat bohat puraani hai
Hum Hindi Hindustani hain
Yeh aadat bohat puraani hai
Hum Hindi Hindustani hain

Chal zor laga ke haisha
Jhanda fehra ke haisha
Chal zor lagaake haisha
Sab saath nacha ke haisha
Chal pyaar jataa ke haisha
Jana Gana Mana gaa ke haisha
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam

No comments: